Naimatein baantta jis samt woh zeeshan gaya Ala Hazrat Naat LYRICS IN HINDI- ने’मते बांटता जिस सम्त वोह ज़ीशान गया लिरिक्स-Naimatein baantta jis samt woh zeeshan gaya lyrics Kalam e ala Hazrat imam Ahmad Raja Khan FAZLE Bareilly (A.R) in english
नेमते बांटता जिस सम्त वोह ज़ीशान गया-Naimatein baantta jis samt woh zeeshan gaya IN HINDI ME PADHE Full Naat Sharif
Naimatein baantta jis samt woh zeeshan gayaLyrics Naat In English
READ Here Naimatein baantta jis samt woh zeeshan gaya Naat Lyrics In English Complete Naat Sharif
- Naimatein baantta jis samt woh zeeshan gaya
- Saath hi munshi-e-rehmat ka qalam-daan gaya
- Le khabar jald hi ghairon ki taraf dhyaan gaya
- Mere Maula, mere Aaqa tere qurbaan gaya
- Aah woh aankh ki nakaam-e-tamanna hi rahi
- Haaye woh dil jo tere dar se pur armaan gaya
- Dil hai woh dil jo teri yaad se ma’moor raha
- Sar hai woh sar jo tere qadmon pe qurbaan gaya
- Unhein jaana, unhein maana, na rakha ghair se kaam
- Lillahil hamd, main duniya se Musalman gaya
- Aur tum par mere Aaqa ki inayat na sahi
- Najdiyo! Kalma padhaane ka bhi ehsaan gaya
- Aaj le unki panaah, aaj madad maang unse
- Phir na maanenge Qayamat mein agar maan gaya
- Uff ye munkir, yeh bada josh-e-ta’assub aakhir
- Bheed mein haath se kam bakht ke imaan gaya
- Jaan-o-dil, hosh-o-khirad sab to Madine pahunche
- Tum nahi chalte Raza, saara to samaan gaya