सरवर कहूं के मालिक आला हजरत नात शरीफ | Sarwar Kahoon Ke Lyrics Naat Ala Hazrat

 कहूं के मालिक नात शरीफ Sarwar Kahoon Ki malik Lyrics Naat Ala Hazrat Imam Ahmad Raza

Sarwar Kahoon Ke Lyrics Naat Lyrics In Hindi-सरवर कहूं के मालिक लिरिक्स नात शरीफ- Sarwar Kahoon Ke Naat In English   

सरवर कहूं के मालिक- आला हजरत लिरिक्स नात शरीफ

  • सरवर कहूं के मालिक-ओ-मौला कहूं तुझे
  • बाग़-ए-ख़लील का गुल-ए-ज़ेबा कहूं तुझे

  • हिर्मान-नसीब हूं तुझे उम्मीदगाह कहूं
  • जाने मुरादों, काशाने तमन्ना कहूं तुझे

  • गुलज़ार-ए-क़ुद्स का गुल-ए-रंगीं अदा कहूं
  • दर्मान-ए-दर्द-ए-बुलबुल-ए-शैदा कहूं तुझे

  • सुबह-ए-वतन पे शाम-ए-ग़रीबां को दूं शरफ़
  • बे-कस नवाज़, गेसू-ओं वाला कहूं तुझे

  • अल्लाह रे! तेरे जिस्म-ए-मुनव्वर की ताबिशें
  • ऐ जान-ए-जान में जान-ए-तजल्ली कहूं तुझे

  • मुझरिम हूं, अपने अफ़्वा का सामां करूं शहाः
  • यानी शफी-ए-रोज़-ए-जज़ा कहूं तुझे!

  • इस मुर्दा दिल को मुज़्दा हयात-ए-अबद का दूं
  • ताब-ओ-तवां-ए-जान-ए-मसीहा कहूं तुझे

  • तेरे तो वस्फ़ ऐब-ए-तनाही से हैं बरी
  • हैरान हूं मेरे शाह, मैं क्या-क्या कहूं तुझे

  • कह लेगी सब कुछ उनके सना-ख़्वान की ख़ामोशी
  • चुप हो रहा हूं, कह के मैं क्या-क्या कहूं तुझे

  • लेकिन रज़ा ने ख़त्म-ए-सुख़न इस पे कर दिया
  • ख़ालिक़ का बंदा, ख़ल्क़ का आका कहूं तुझे

  • Sarwar Kahoon Ke Maalik-o-Mawla Kahoon Tujhe,Lyrics Naat In English

    READ Here Sarwar Kahoon Ke Maalik-o-Mawla Kahoon Tujhe Naat Lyrics In English Full Naat

    • Sarwar Kahoon Ke Maalik-o-Mawla Kahoon Tujhe

    • Baagh-e-Khaleel Ka Gul-e-Zaybaa Kahoon Tujhe

    • Hirmaan-Naseeb Hoon Tujhe Ummeedgah Kahoon
    • Jaane Muraadon, Kaashane Tamanna Kahoon Tujhe

    • Gulzaar-e-Quds Ka Gul-e-Rangin Adaa Kahoon
    • Darmaan-e-Dard-e-Bulbul-e-Sheeda Kahoon Tujhe

    • Subh-e-Watan Pe Shaam-e-Ghareebaan Ko Doon Sharaf
    • Bekas Nawaaz, Gesu-on Wala Kahoon Tujhe

    • Allah Re! Tere Jism-e-Munawwar Ki Taabishen
    • Ae Jaan-e-Jaan Mein Jaan-e-Tajalla Kahoon Tujhe

    • Mujrim Hoon, Apne Afwa Ka Saamaan Karoon Shahaa
    • Yaani Shafee-e-Roz-e-Jazaa Kahoon Tujhe!

    • Is Murda Dil Ko Muzda Hayaat-e-Abad Ka Doon
    • Taab-o-Tawaan-e-Jaan-e-Maseeha Kahoon Tujhe

    • Tere To Wasf Aib-e-Tanaahi Se Hain Baree
    • Hairaan Hoon Mere Shaah, Main Kya Kya Kahoon Tujhe

    • Keh Legi Sab Kuch Unke Sanaa-Khwaan Ki Khaamoshi
    • Chup Ho Raha Hoon Keh Ke Main Kya Kya Kahoon Tujhe

    • Lekin Raza Ne Khatm-e-Sukhan Is Pe Kar Diya
    • Khaaliq Ka Banda, Khalq Ka Aaqa Kahoon Tujhe

    Read This - और यहाँ पढ़ें